Showing posts with label sayari. Show all posts
Showing posts with label sayari. Show all posts

Thursday, September 9, 2010

Kuch Baatein - Dil se


Ehsas mohobatt ke leke in ankhon mein jab nikal pade the hum
Ladte, struggle karke dilon mein chaap chhoda karte hai hum
Par ab wohi chaapo ko yaad karte hue hum
Kabhi has aur kabi ro padte hai hum


Khwabo-khayalo ki baatein karte hai hum
Aur kabhi inhi khayalo mein kho jate hai hum
Dil se dil ke awaaz sun lete hai hum
Aur kabhi yehi dil ko rula dete hai hum


Din bhar baat karne ko taraste hai hum
Aur ratko who hi baat pe jagad padte hum
Jagadte jagadte kuch thak se jate hai hum
Aur phir ekduje ko manaya bhi karte hai hum


Phir subah hote hi khush ho jate hai hum
Aur phir se pyari batein kiya karte hai hum
Phir ehsas mohbatt ka leke ankhon se baat kiya karte hai hum
Ladte struggle karke dono dilon mein chaap chooda karte hai hum



SHANK

Wednesday, August 5, 2009

Share - O - Shayari

Hasratien dil me dabane se kya haasil hoga
Apne hoth hila kar to dekho


Khamoshi se kab hoti hai khwahishein poori
Dil ki baat bata kar to dekho


Jo hai dil mei use kar do bayaan
Khud ko ek baar jata kar to dekho
-------------------------------------
Hasratien dil me dabane se kya haasil hoga
Ek baar khul kar jee kar to dekho