Saturday, December 6, 2008

My First Poem - Ek Tha Raja

Ek Tha Raja
Ek thi Rani
Dono Mill Gaye
Aur shuru Kahani

Ek Tha Raja
Ek thi Rani
Dono Mill Gaye
Aur shuru Kahani

Rani Raja maje mein rahete
gumte phirte haste khate

Phir
Phir kya???

Phir ek din aaya Dushman
Dushman ko to Rani Bhaye
Par woh Rani ko Kaise Paye
Raja ko woh Kaise hataye
Par woh Rani ko Kaise Paye

Dushman ne Bichaya Ek Jaal
Vajeer ko bola kar du mala mal

Vajeer ne bola Raja ko Mare kaise
Dushman ne bola aise waise

Dushman ne apni akal lagayi
Vajeer ko usne banaya sipayi

Phir
Phir kya???

Bhanda phut gaya phut gaya phut gaya re
bhanda phut gaya

kaise???
arre aisee....

Rani ne sun li unki baat
aur socha maru kaise laat

Raja bichara tha chakram
Sochta tha woh agdam bagdam

Dushman ne raja ko dost banay
aaur rani ka tension badaya
Rani ne socha phir ek Plan
Usne vajeer pe diya dhyan

Vajeer ko usne patti padai
aur dushman ki kari pitayi
Dushman bichara mar ka khaya
Vajeer bhi uske saath roya

phir
phir kya???

raja ki akal thikane pe aayi
usne dono ko saja lagayi
rani se usko ho gaya prem
dono mil ke khele game

Ek Tha Raja
Ek thi Rani
Dono Mill Gaye
Aur shuru Kahani (2)

phir
phir kya???

phir ek din good news aayi
raja ke gharpe ek ladki aayi

Ladki ka naam rakha kangana
us ko to tha haste rahena
haste khelte usko mila ladka
ladke ka naam tha kunal
sir pe usko thi ek taal

phir
phir kya???

un dono ne dekha sapna
sapne mein gaya unho ne gana
dono ki ban gayi ek jodi
ab to unko karni hogi shadi

phir
phir kya???

Ek Tha Raja
Ek thi Rani
Dono Mill Gaye
Aur Khatam Kahani

2 comments:

  1. This is a gоod tip espeсially to those fгesh
    to the blogοsphеre. Shoгt but very prеciѕe
    іnformatiоn… Aρprесiate youг ѕhаring thiѕ one.
    A must read pоst!

    Feel fгee to surf to mу web page :: tens units

    ReplyDelete